hairan hai aankh chashm-e-inayat ko kya hua
duniya mein rasm-o-rah-e-mohabbat ko kya hua
mana ki shahr-e-husn mein jins-e-wafa nahin
lekin jahan mein ishq ki daulat ko kya hua
aati hai yaad rose KHud aati nahin magar
yarab hamari sham-e-masarrat ko kya hua
waqt-e-widaa zard hua rang-e-ruKH agar
rang-o-bahaar-e-ariz-e-fitrat ko kya hua
thi hum ko aql se to na pahle hi kuchh umid
'nayyar' junun ke faiz-o-karamat ko kya hua
Ghazal
Hairan hai aankh chashm-e-inayat ko kya hua
Nayyar Wasti