hairan bahut tabish-e-husn-digaran thi
tujh lab ki sifat lal-e-badaKHshan mein kahan thi
phaila kiye dariya-e-mohabbat ke kinare
un jhil si aankhon mein koi chiz nihan thi
har jashn-e-tarab-nak pe majlis ka asar tha
har uDte hue bose mein gard-e-gham-e-jaan thi
ya arz-e-yaqin par thi bichhi barf ki chadar
ya ghere hue phir mujhe duniya-e-guman thi
hum bargah-e-wasl ke Thukrae hue log
ek sohbat-e-ayyam thi so nazr-e-fughan thi
hum zabt ke maron ka ajab haal tha 'saqib'
jo baat chhupani thi wo chehron se ayan thi
Ghazal
Hairan bahut tabish-e-husn-digaran thi
Amir Hamza Saqib