hain yun mast aankhon mein Dore gulabi
sharabi ke pahlu mein jaise sharabi
wo aankhen gulabi aur aisi gulabi
ki jis rut ko dekhen bana den sharabi
badalta hai har daur ke sath saqi
ye duniya hai kitni baDi inqilabi
jawani mein is tarah milti hain nazren
sharabi se milta hai jaise sharabi
nichoDo koi baDh ke daman shafaq ka
falak par ye kis ne gira di gulabi
ghani mast palkon ke sae mein nazren
bahakte hue mai-kadon mein sharabi
zara mujh se bachte raho parsao
kahin tum ko chhu le na meri KHarabi
'nazir' apni duniya to ab tak yahi hai
sharab aaftabi faza mahtabi
Ghazal
Hain yun mast aankhon mein Dore gulabi
Nazeer Banarasi