hain ye sare jite-ji ke waste
kaun marta hai kisi ke waste
aadmi sahta hai kya kya zillaten
nafs-e-mardud-e-shaqi ke waste
hum bhi jaenge sulaiman tak kabhi
arz karne ek pari ke waste
dar-ba-dar kuchon mein hum bhi phir chuke
ek husn-e-KHangi ke waste
kisht-zar-e-zafran se kam nahin
rang-e-zard apna hansi ke waste
kyun diye hain tu ne qassam-e-azal
ranj lakhon ek ji ke waste
do zakat-e-husn kuchh darwesh ko
hain baDe rutbe saKHi ke waste
ek se ek hain ek se le lakh tak
saf-shikan mard-e-jari ke waste
gham ne is darja kiya dil mein hujum
ja nahin hai KHurmi ke waste
aur kya ho yar ki aankhon se kaam
KHulq hain jadugari ke waste
yaad rakhna shart aur mashrut hai
aadamiyat aadmi ke waste
ranj-o-andoh-o-malal-o-dard-o-gham
sadme hain ye aadmi ke waste
sabza-e-madfan uga tha kyun falak
aahuon ki kya chari ke waste
laD gae wo ek zara si baat mein
pahron ruThe ek ghaDi ke waste
ji na ghabrae tera be-mashghale
ishq kar le dil-lagi ke waste
kya mujhe paida kiya hai ai KHuda
in buton ki bandagi ke waste
be-kasi mere liye paida hui
main bana hun be-kasi ke waste
bola murgh-e-nama-bar ko kar ke zabah
ye saza hai elchi ke waste
dhugdugi mein jaan aTki hai meri
hae kis champa-kali ke waste
baryab-e-KHalwat-e-mahbub hai
kya sharaf hai aarasi ke waste
marqad-e-tira mein kafi hai mujhe
dagh-e-sauda raushni ke waste
kijiye har dam abas tan-parwari
ai ajal kis zindagi ke waste
KHama-e-qudrat ne khinchin wo bhawen
rasti ye hai kaji ke waste
hashr ke din 'rind' ko baKHshaiyo
ya-ali ruh-e-nabi ke waste
Ghazal
Hain ye sare jite-ji ke waste
Rind Lakhnavi