hain wasl mein shoKHi se paband-e-haya aankhen
allah-re zalim ki mazlum-numa aankhen
aafat mein fansaengi diwana banaengi
wo ghaaliya-sa zulfen wo hosh-ruba aankhen
kya jaaniye kya karta kya dekhta kya kahta
zahid ko bhi meri si deta jo KHuda aankhen
rahm un ko na aaya tha to sharm hi aa jati
be-dad ke shikwe par jhuktin to zara aankhen
tum jaan ko kho baiTho ya aankhon ko ro baiTho
'beKHud' na milaenge wo tum se zara aankhen
Ghazal
Hain wasl mein shoKHi se paband-e-haya aankhen
Bekhud Badayuni