hain sham hi se ranj-o-qalq jaan par ab to
hum ko nahin ummid ki pakDen sahar ab to
diwana koi hoe to ho us ki bala se
apne hi pari-pan pe paDi hai nazar ab to
sae se chahak jate the ya phirte ho shab-bhar
wallah ki tum ho gae kitne niDar ab to
jaan ko to KHabar bhi nahin upar hi se upar
dil le gai is shoKH ki nichi nazar ab to
mai-KHana-o-mai-e-ishq-e-butan aur ye sin-o-sal
'tanwir' KHuda ka bhi zara KHauf kar ab to
Ghazal
Hain sham hi se ranj-o-qalq jaan par ab to
Tanvir Dehlvi