hain shaKH shaKH pareshan tamam ghar mere
kaTe paDe hain baDi dur tak shajar mere
charagh in pe jale the bahut hawa ke KHilaf
bujhe bujhe hain jabhi aaj baam-o-dar mere
hazaron sal ki tariKH likkhi jaegi
zamin ke batn se ubhrenge jab khanDar mere
ye dekhna hai ki ab haar manta hai kaun
udhar hai wusat-e-imkan idhar hain par mere
main apni zat ki tabir ki talash mein tha
to mere KHwab chale ban ke ham-safar mere
suragh-e-mausam-e-gul ke amin ki surat
khile hue hain KHizan mein bhi zaKHm-e-sar mere
Ghazal
Hain shaKH shaKH pareshan tamam ghar mere
Ahmad Sagheer Siddiqui