hain sat zamin ke tabaq aur sat hain aflak
is raaz ke mahram hain magar sahib-e-idrak
bu zauq basar lams sama KHasa-e-unsur
unsur KHali baad aatish-o-ab-o-kurra-e-KHak
izad hue chaar tabaq tab hue chaudah
surat-gari-o-hafiza-o-danish-o-idrak
kahte hain jise arsh wo hai jalwa-e-pindar
gardish mein hain jis se tabqat-e-hama-aflak
hai pas-e-adab mane-e-'sahir' pai-e-izhaar
hai matla-e-KHurshid wagarna sar-e-laulak
Ghazal
Hain sat zamin ke tabaq aur sat hain aflak
Sahir dehlavi