hain sare jurm jab apne hisab mein likhna
sawal ye hai ki phir kya jawab mein likhna
bura sahi main pa niyat buri nahin meri
mere gunah bhi kar-e-sawab mein likhna
raha saha bhi sahaara na TuT jae kahin
na aisi baat koi iztirab mein likhna
ye ittifaq ki manga tha un se jin ka jawab
wo baaten bhul gae wo jawab mein likhna
hawa-mahl mein sajaya tha tum ne jab darbar
koi gharib bhi aaya tha KHwab mein likhna
na bhulna ki 'umar' hain ye doston ke hisab
kabhi na paDhna jo dil ki kitab mein likhna
Ghazal
Hain sare jurm jab apne hisab mein likhna
Umar Ansari