hain nikhat-e-gul bagh mein ai baad-e-saba hum
dam bhar mein numudar hain dam bhar mein fana hum
tashrif to le aaen wo ruThe rahen hum se
jhagDa to miTe sulh bhi ho jaegi baham
hum tere shanasa hain hamein ghair se kya kaam
aagah kisi se bhi nahin tere siwa hum
puchha tha ye main ne ki miTaega mujhe kaun
qismat abhi KHamosh thi jo us ne kaha hum
wo kahte hain dawa hai use hosh-o-KHirad ka
'beKHud' ko pilaenge mai-e-hosh-ruba hum
Ghazal
Hain nikhat-e-gul bagh mein ai baad-e-saba hum
Bekhud Dehlvi