hain manazir sab baham-parda nazar baqi nahin
samne manzil hai lekin rahguzar baqi nahin
shairi jis ne chhuDae the jahan ke karobar
ab takalluf bartaraf is mein hunar baqi nahin
shahr-e-nau mein kyun rahe ab ye shikasta sa makan
gar khaDi diwar koi hai to dar baqi nahin
wo to jadu ka bana tha hae aisa hi na ho
lauT kar pahunchun to dekhun ab wo ghar baqi nahin
mutmain the KHush the aur duniya mein bhi masruf the
hum to samjhe the ki ab fan ka safar baqi nahin
ab ye lazim hai ki is duniya mein jina sikh lun
KHub par qane rahun jab KHub-tar baqi nahin
aap sone ka qafas lane ki zahmat mat karen
hum wo tair hain ki jin ke baal-o-par baqi nahin
Ghazal
Hain manazir sab baham-parda nazar baqi nahin
Shabnam Shakeel