hain lapata zamane se sare ke sare KHwab
kis ke badan se lipTe hue hain hamare KHwab
main sham ki balaen lun ya bosa subh ka
bikhre paDe hain raat ke donon kinare KHwab
tum chhat pe aate jate rahoge isi tarah
to dekhne lagenge sabhi ke sitare KHwab
mana saja-sanwar ke bheje gae ho tum
aaine bhi to dekh rahe hain tumhaare KHwab
apni to sari umr pas-o-pesh mein kaTi
sau bar zeb-e-tan kiye sau bar utare KHwab
nazren bhi kya guzarte hum boriya-nashin
us ne bhi sarfaraaz kiye sab guzare KHwab
mushkil ye aa paDi hai ki kis des jaenge
hum tar-tar log liye itne sare KHwab
Ghazal
Hain lapata zamane se sare ke sare KHwab
Nomaan Shauque