hain kashmakash mein aaj teri dastan se hum
ai dil shurua karen ye hikayat kahan se hum
tera KHulus teri mohabbat teri nazar
kis tarah chhin laen mah-o-kahkashan se hum
nazan hai koi apne taghaful pe marhaba
majbur ho rahe dil-e-naz-dan se hum
josh-e-junun ne tham liya hai KHulus hai
guzre qadam qadam pe nae imtihan se hum
qaht-e-wafa mein walwala-e-jaan fana hua
kya bad-guman hain aaj kisi raazdan se hum
ye to KHizan-nasib bahaaron se puchhiye
wabasta-e-KHulus rahe gulistan se hum
mahsus ho raha hai ki manzil qarib hai
kuchh dur ja chuke hain faza-e-jahan se hum
uf wusat-e-nigah-e-taKHayyul na puchhiye
so aasman-buland hain is aasman se hum
ye dastan-e-gham hi mata-e-'aziz' hai
duniya basa rahe hain gham-e-jawedan se hum
Ghazal
Hain kashmakash mein aaj teri dastan se hum
Aziz Badayuni