اردو हिंदी
Hain kaam-kaj itne badan se lipaT gae | Shaahi Shayari
hain kaam-kaj itne badan se lipaT gae

Ghazal

Hain kaam-kaj itne badan se lipaT gae

Zeeshaan sajid

;

hain kaam-kaj itne badan se lipaT gae
logon ke shahar-bhar se rawabit hi kaT gae

manzar the dur dur to kitne hasin the
taswir zoom ki hai to pixel hi phaT gae

chehre jhulas chuke hain tamasha-e-ishq mein
ai ishq kis tarah tere mear ghaT gae

main KHwab KHamushi mera saya hue hain jama
jab log apne apne girohon mein baT gae

qudrat ka canwas na mukammal dikhai de
kitne hi rang meri nigahon se haT gae

ek zahr hai samaj ke andar bhara hua
itni samog hai ki tanaffus ulaT gae

aankhen bhula chuki hain KHad-o-KHal-e-raushni
baadal to aasman se kab ke hain chhaT gae

'zishan' use KHayal mein rakkha tha mustaqil
aahistagi se baqi KHayalat haT gae