hain gardishen bhi rawan baKHt ke sitare mein
tabah main hi nahin wo bhi hai KHasare mein
nigah pher li us ne chhupa liye aansu
magar bala ki kashish thi us ek nazare mein
talatumon ki sifat ishq mein rahi har-dam
safina dil ka musalsal hai tez dhaare mein
jala sake jo dil-o-jaan wahi nazar qatil
wagarna soz-o-tapish hai kahan sharare mein
tamam raat hawaon se guftugu karna
ajab hai shauq mohabbat ke har sitare mein
talluqat nibhana bhi ek fan hai miyan
main tere miThe mein shamil na tere khaare mein
udas lamhon mein 'zakir' wo jab mila mujh se
nazar uTha ke kaha kuchh na apne bare mein
Ghazal
Hain gardishen bhi rawan baKHt ke sitare mein
Zakir Khan Zakir