hain ek saf mein qalandar bhi main bhi duniya bhi
sitam-zada bhi sitamgar bhi main bhi duniya bhi
KHuda ke nam pe kya kya fareb dete hain
zamana-saz ye rahbar bhi main bhi duniya bhi
wo ek lamha ki hum sab lipaT ke roe the
udas raat ka manzar bhi main bhi duniya bhi
duaen mangte rahte hain tujh se milne ki
udas udas mera ghar bhi main bhi duniya bhi
safar pe nikle to akasr bhaTak gae jaanan
tumhaari yaad ke lashkar bhi main bhi duniya bhi
ghazal ke sanche mein Dhalte hain TuT jate hain
wafa ki rah ke patthar bhi main bhi duniya bhi
juda juda hain magar phir bhi sath hain 'mansur'
mohabbaton ke samundar bhi main bhi duniya bhi
Ghazal
Hain ek saf mein qalandar bhi main bhi duniya bhi
Mansoor Usmani