اردو हिंदी
Hain dam ke sath ishrat o usrat hazar-ha | Shaahi Shayari
hain dam ke sath ishrat o usrat hazar-ha

Ghazal

Hain dam ke sath ishrat o usrat hazar-ha

Nazeer Akbarabadi

;

hain dam ke sath ishrat o usrat hazar-ha
wabasta ek tar-e-nafas se hain tar-ha

kuchh said-zaKHm-KHurda-e-jaanan hamin nahin
har said-gah mein us ki hain bismil shikar-ha

aaya wo jab to hum na rahe aap mein gharaz
dekha isi tarah se use hum ne bar-ha

us gul ke chaak-e-jeb ki hasrat se bagh mein
har subh chaak hoti hain jeb-o-kanar-ha

us sozan-e-mizha ke tasawwur mein shana-san
TuTe hain ek KHalq ke pahlu mein KHar-ha

kis kis ki dekhiye chaman-e-sana mein bahaar
apni faqat do chashm hain aur yan bahaar-ha

the kal ye KHatt-e-ariz-e-KHuban-e-sabza-rang
kahte hain aaj KHalq jinhen sabza-zar-ha

the kal ye shahidan-e-sahi sarw-o-sim-tan
shahid hain aaj marg ke jin ke mazar-ha

sab ko 'nazir' sona hai ek din ba-zer-e-KHak
sang-e-mazar us ke hain aaina-dar-ha