اردو हिंदी
Hain dahan ghunchon ke wa kya jaane kya kahne ko hain | Shaahi Shayari
hain dahan ghunchon ke wa kya jaane kya kahne ko hain

Ghazal

Hain dahan ghunchon ke wa kya jaane kya kahne ko hain

Sheikh Ibrahim Zauq

;

hain dahan ghunchon ke wa kya jaane kya kahne ko hain
shayad us ko dekh kar salle-ala kahne ko hain

wasf-e-chashm o wasf-e-lab us yar ka kahne ko hain
aaj hum dars-e-ishaaraat-o-shifa kahne ko hain

aaj un se muddai kuchh muddaa kahne ko hain
par nahin malum kya kahwenge kya kahne ko hain

jo wo qad-qamat sada kahne ko hain
aur aashiq wasf-e-qad-qamat tera kahne ko hain

puchh aa qatil se to wo kab karega hum ko qatl
aaj hum tariKH-e-marg aap ai qaza kahne ko hain

main tere hathon ke qurban wah kya mare hain tir
sab dahan-e-zaKHm munh se marhaba kahne ko hain

wo janaze par mere kis waqt aae dekhna
jab ki izn-e-am mere aqriba kahne ko hain