اردو हिंदी
Hain bazm-e-gul mein bapa nauha-KHwaniyan kya kya | Shaahi Shayari
hain bazm-e-gul mein bapa nauha-KHwaniyan kya kya

Ghazal

Hain bazm-e-gul mein bapa nauha-KHwaniyan kya kya

Zaheer Kashmiri

;

hain bazm-e-gul mein bapa nauha-KHwaniyan kya kya
bahaar chhoD gai hai nishaniyan kya kya

tamam umr gul-o-mul ke darmiyan guzri
tamam umr rahin sar-giraniyan kya kya

wo shaKHs-e-itr-badan jab bhi samne aaya
dil-o-nazar pe huin gul-o-fashaniyan kya kya

KHabar na thi yahi wajh-e-sukun-e-jaan hogi
nigah-e-yar se thin bad-gumaniyan kya kya

Tapak ke aankh se tufan uTha diye jis ne
is ek ashk mein thin be-karaniyan kya kya

huzur-e-yar se jab izn-e-guftugu na mila
suKHan-taraaz huin be-zabaniyan kya kya

har ek dard ko darman bana diya us ne
jafa ke bhes mein thin mehrbaniyan kya kya

wo husn aaj bhi hila-gari mein yakta hai
dil-e-gharib sunega kahaniyan kya kya

us ek jamal-e-gurezan ki justuju mein 'zahir'
KHarab-o-KHwar hui hain jawaniyan kya kya