hain aur kai ret ke tufan mere aage
phailega abhi aur bayaban mere aage
bahar nahin koi bhi meri had-e-nazar se
maKHfi hai koi koi numayan mere aage
hasti meri sahra hai sarab us ka muqaddar
aaKHir use hona hai pasheman mere aage
hun mil ke patthar ki tarah rahguzar mein
manzil pe nazar rakhte hain insan mere aage
tai ho na saki duri-e-manzil ye alag hai
har moD pe raushan raha imkan mere aage
kandhe pe mere bojh raha raKHt-e-safar ka
yun nikla kiye be-sar-o-saman mere aage
jo sulh-o-safai mein hain pichhe abhi 'rahi'
rahte hain baham dast-o-gareban mere aage
Ghazal
Hain aur kai ret ke tufan mere aage
Ghulam Murtaza Rahi