hain ab to hile-bahane ke qil-o-qal ke din
bhula ke rakh diye tu ne meri majal ke din
ki dukh ne kucha-e-shab par kar liya shayad
tulua hone lage is liye malal ke din
har ek lafz pasheman pas-e-ghubar-e-sukut
jawab ki wo hon raaten ki phir sawal ke din
charagh-e-saut-o-sada aaj kuchh munawwar hai
visal-e-shab ke qarin hain mere ghazal ke din
ye intizar ki ghaDiyan ye shab ka sannaTa
us ek shab mein bhare hain hazar sal ke din
Ghazal
Hain ab to hile-bahane ke qil-o-qal ke din
Qamar Siddiqi