اردو हिंदी
Haibat-e-husn se alfaz ki hairani tak | Shaahi Shayari
haibat-e-husn se alfaz ki hairani tak

Ghazal

Haibat-e-husn se alfaz ki hairani tak

Shoaib Nizam

;

haibat-e-husn se alfaz ki hairani tak
baat pahunchi thi abhi chand ki peshani tak

aap kya dirham-o-dinar liye phirte hain
hum to Thukra bhi chuke taKHt-e-sulaimani tak

wasl ke qisse to tamhid hain sunte rahiye
baat pahunchegi abhi quwwat-e-imani tak

qissa-e-rafta mukammal nahin hoga warna
zikr jari rahe aqdar ki arzani tak

aap mohsin hain magar khel ki majburi hai
dil to aata hi nahin rah mein sultani tak

us ne kuchh soch ke sahra ki taraf moD diya
pyas bas pahunchne wali thi abhi pani tak

dafatan waqt ne raftar baDha di warna
bhagta main bhi raha ek had-e-imkani tak