hai zer-e-zamin saya to baala-e-zamin dhup
duniya bhi do-rangi hai kahin chhanw kahin dhup
hai nur-e-ruKH-e-yar zamane mein firozan
kahte hain ghalat sab ye nahin dhup nahin dhup
is tarah ki zid hai use har baat mein mujh se
kahta hun main saya to wo kahta hai nahin dhup
allah-re tere garmi-e-ariz ki shararat
KHurshid chhupa sharm se nikli na kahin dhup
ham-palla hue yar ki afshan se na 'raunaq'
chamki to bahut kuchh sifat-e-mahr-e-mubin dhup
Ghazal
Hai zer-e-zamin saya to baala-e-zamin dhup
Raunaq Tonkvi