hai ye takiya teri ataon par
wahi israr hai KHataon par
rahen na-ashna zamane se
haq hai tera ye aashnaon par
rahrawo ba-KHabar raho ki guman
rahzani ka hai rahnumaon par
hai wo der aashna to aib hai kya
marte hain hum inhin adaon par
us ke kuche mein hain wo be-par o baal
uDte phirte hain jo hawaon par
shahsawaron pe band hai jo rah
waqf hai yan barahna panw par
nahin munim ko us ki bund nasib
meinh barasta hai jo gadaon par
nahin mahdud baKHshishen teri
zahidon par na parsaon par
haq se darKHwast afw ki 'haali'
kije kis munh se in KHataon par
Ghazal
Hai ye takiya teri ataon par
Altaf Hussain Hali