اردو हिंदी
Hai ye surat gham ke bas izhaar ki | Shaahi Shayari
hai ye surat gham ke bas izhaar ki

Ghazal

Hai ye surat gham ke bas izhaar ki

Sahar Mahmood

;

hai ye surat gham ke bas izhaar ki
Dhaal dije shakl mein ashaar ki

KHairiyat matlub hai dildar ki
dastan mat chheDiye sansar ki

hai ajab surat yahan takrar ki
dil ki manen baat ya dildar ki

KHasiyat ye dil ke hai darbar ki
qadr hoti hai yahan bas pyar ki

hai KHushi itne mein hi bimar ki
koi surat to hui didar ki

zimmedari tum pe hai ghar-bar ki
harkaten chhoDo miyan bekar ki

dil mein rahte hain magar anjaan se
jaane kya marzi hai apne yar ki

masala pand-o-nasihat ka durust
chhap paDti hai magar kirdar ki

har talluq ka hai kuchh maqsad 'sahar'
kaun sunta hai kisi lachaar ki