اردو हिंदी
Hai yak do nafas sair-e-jahan-e-guzran aur | Shaahi Shayari
hai yak do nafas sair-e-jahan-e-guzran aur

Ghazal

Hai yak do nafas sair-e-jahan-e-guzran aur

Hameed Naseem

;

hai yak do nafas sair-e-jahan-e-guzran aur
ai shauq koi rang-e-nashat-e-dil-o-jaan aur

aasudgi-amoz ho jab aabla-pai
ho jati hai manzil ki lagan dil mein tapan aur

sang-e-nigah-e-shauq hai yaksani-e-taghir
har lahza nai rut ho bahaar aur KHizan aur

besh-az-nigah-e-kam nahin pihna-e-shab-o-roz
ai aalam-e-imkan koi nadida-jahan aur

ye arz o sama nang hain manind-e-kaf-e-dast
ek dasht ba-andaza-e-chashm-e-nigran aur

taufiq faqat mujh ko hua jada-e-ehsas
ya qafile is tera KHala mein hain rawan aur

aagahi-e-mutlaq jo nahin hai mera maqdur
ek mohlat-e-fariyaad sar-e-kaun-o-makan aur

dil wasl ki lazzat ka talabgar hai lekin
takmil-e-tamanna gham-e-furqat hai to han aur