hai yaad tujh se mera wo sharh-e-haal dena
aur sun ke tera us ko hans hans ke Tal dena
kar kar ke yaad us ki behaal hun nihayat
fursat zara tu mujh ko tu ai KHayal dena
us zulf-e-kaj ke uqde hargiz khule na mujh par
kyun us ko shana kar ke ek ek baal dena
main muddaa ko apne mahmil kahun hun tujh se
gosh-e-dil apna idhar sahab-e-jamal dena
is umr bhar mein tujh se manga hai ek bosa
KHali paDe na pyare mera sawal dena
hum se rukhaiyan aur munh jhulse muddai ka
bosa pe bosa har dam dun be-sawal dena
ya-rab kisi pe hargiz aashiq koi na ho jo
dil hath dilbaron ke hai bad-maal dena
wo mehrban ki hum ko altaf-e-bar-mahal se
pas apne se tha us ko uThne muhaal dena
dekhe hai dur se to kahta hai be-murawwat
ye kaun aa ghusa hai is ko nikal dena
qabu hai tera 'hasrat' mat chhoD muddai ko
dushman ko maslahat nin hargiz majal dena
Ghazal
Hai yaad tujhse mera wo sharh-e-haal dena
Hasrat Azimabadi