hai yaad josh ye jis waqt ashk-bari thi
to ek nahr usi aastin se jari thi
zamin-e-bagh pe girte hain TuT kar tare
sitara-dar qaba us ne kyun utari thi
main aankhen band kiye tha wo dekhte idhar
jise wo samajhte the ghaflat wo hoshiyari thi
lahu ke ashk jo Tapke to khul gaya ye raaz
nigah thi dil mein ki utri hui kaTari thi
mili hai dekhiye ye subh-e-hashr se ja kar
lahad ki raat na thi sham-e-gham hamari thi
nahin hain hum to chamakta hai subah ka tara
ye raat wo thi jo bimar-e-gham pe bhaari thi
Ghazal
Hai yaad josh ye jis waqt ashk-bari thi
Javed Lakhnvi