hai wasf tera muhit-e-azam
yan tab kise shanawari ki
di zindagi aur us ka saman
kya shan hai banda-parwari ki
shahansha-e-waqt hai wo jis ne
tere dar ki gadagari ki
bad-tar hun wale karam se tere
ummid-e-qawi hai behtari ki
kya aankh ko til diya ki jis mein
wusat hai charKH-e-chambari ki
dekha to wahi hai rah-o-rahraw
phir us ne hai aap rahbari ki
har shakl mein tha wahi numudar
hum ne hi nigah sarsari ki
kya baat hai gar kiya tarahhum
haihat jo tu ne dawari ki
ki baad-e-KHizan bahaar paida
sukhi Tahni hari-bhari ki
jhuT aur mubaalagha ne afsos
izzat kho di suKHanwari ki
likkhi thi ghazal ye aagara mein
pahli tariKH january ki
Ghazal
Hai wasf tera muhit-e-azam
Ismail Merathi