hai wahm jaise koi naqsh ye duhai de
ye zarb-e-tesha mujhe sang se rihai de
natija-e-darun-bini tha kis qadar be-kaif
kuen mein dur tak ab ret hi dikhai de
hisar-e-gosh-e-samaat ki dastaras mein kahan
tu wo sada jo faqat jism ko sunai de
ye kis talab ki hawaen masham-e-jaan mein chalin
ki jalte gosht ki KHushbu faqat sunghai de
chalo ki donon hon gardab-e-ittisal mein gharq
na jaane waqt kise sahil-e-judai de
hara-bhara hi rahega wo KHwahishon ka daraKHt
hawa hazar use barg-e-na-rasai de
'musawwir' us se kaho umr bhar na mil pae
baDa hai jurm aziyyat bhi intihai de
Ghazal
Hai wahm jaise koi naqsh ye duhai de
Musavvir Sabzwari