hai wahi naz-afrin aaina-e-niyaz mein
jis ki ziya hai soz mein jis ki sada hai saz mein
apne niyaz-mand hai parde ki rasm-o-rah hai
warna hijab ko kahan daKHl harim-e-naz mein
sajde mein mar gaya agar phir na uThega hashr tak
qaid na rakhiye waqt ki mere liye namaz mein
naz ko nur kar diya sarwar-e-kainat ne
wo jo lagi thi tur par aa ke bujhi hijaz mein
'natiq' soKHta-jigar dil pe to hath rakh zara
ab ke bhi kuchh chamak si thi nala-e-jaan-gudaz mein
Ghazal
Hai wahi naz-afrin aaina-e-niyaz mein
Natiq Lakhnavi