hai wahi manzar-e-KHun-rang jahan tak dekhun
main faqat ek hi taswir kahan tak dekhun
nind TuTi hai mere KHwab kahan TuTe hain
aks tera hi haqiqat se guman tak dekhun
itni wusat de meri qalb-o-nazar ko maula
aankh sahra pe dharun aab-e-rawan tak dekhun
rut koi aae kabhi phul khilane wali
kab talak aag har ek sahn-o-makan tak dekhun
aaina hote hue apna uruj aur zawal
matla-e-subh se maghrib ki azan tak dekhun
baad allah ke wo hai meri shah-e-rag ke qarib
kab mere dil ki sada jati hai man tak dekhun
dil ki dahliz se hi lauT gaya wo 'raKHshan'
chahti thi main jise jism se jaan tak dekhun

Ghazal
Hai wahi manzar-e-KHun-rang jahan tak dekhun
Rakhshan Hashmi