hai wahi marka-e-neki-o-shar mere baad
tham na jaen kahin yaran-e-safar mere baad
kam hain aise jo karen arz-e-hunar mere baad
aaj ghamnak se hain ahl-e-nazar mere baad
chand saat ke liye ruk bhi gaya ro bhi liya
karwan phir bhi hai sargarm-e-safar mere baad
jazb thin jis mein mere KHun-e-wafa ki chhinTen
ban gaya sajda-gah-e-KHalq wo dar mere baad
hijr ki raat larazta hi raha palkon par
qatra-e-ashk bana najm-e-sahar mere baad
shayad ai dost tamashaon ke hangamon mein
yaad aae meri mohtat nazar mere baad
aaj anjaan bano bhul bhi jao lekin
kya karoge meri yaad aae agar mere baad
kyun bichhate ho meri rah mein kanTe yaro
KHair jari se badal jaega shar mere baad
ab bhi shor-e-qadam-e-rah-rawan hai to wahi
phir bhi suni hai teri rahguzar mere baad
kya koi aur banata tha nasheman apna
phir usi shaKH pe hai raqs-e-sharar mere baad
ek meri yaad ki mashal ke siwa kuchh bhi na ho
raat is tarah se bhi hogi basar mere baad
ye tamawwuj ye talatum ye shahadat ye shuhud
KHatm hai manzil-e-awwal ka safar mere baad
ashk aankhon mein bhare us ne bhi dekha 'zaidi'
aaj mahfil ko ba-andaz-e-digar mere baad
Ghazal
Hai wahi marka-e-neki-o-shar mere baad
Ali Jawwad Zaidi