اردو हिंदी
Hai wahi ek mere siwa aur main | Shaahi Shayari
hai wahi ek mere siwa aur main

Ghazal

Hai wahi ek mere siwa aur main

Farhat Nadeem Humayun

;

hai wahi ek mere siwa aur main
donon tanha hain mera KHuda aur main

hai KHulasa meri zindagi ka yahi
ek nakaam harf-e-dua aur main

tirgi KHatm karne ki ummid par
raat bhar hi jala ek diya aur main

kaun jitega is jang mein dekhiye
ho gae hain muqabil hawa aur main

aai barkha ki rut mere dukh banTne
roe phir sath mil kar ghaTa aur main

ek taraf wo hai aur us ke sare sitam
ek taraf sabr ki intiha aur main

kyun saza phir milegi kisi aur ko
hain gunahgar meri ana aur main

tishnagi ki alamat ke taur par
do hi nam aaenge karbala aur main