hai us ki zulf se nit panja-e-adu gustaKH
mera ghubar wo daman se hai kabhu gustaKH
dhuan nikalun main huqqe ka KHun-e-jam piyun
tere hain lab se donon mere ru-ba-ru gustaKH
pala hai pani se par sar chaDha hai pani ke
nadi ke sat hai kam-zarfi se kadu gustaKH
satawe hai dil-e-KHunin ko harf-e-naseh yun
ki jaise zaKHm se howe hai gul ki bu gustaKH
hansi se ghuncha ka dil subh toDe hai 'uzlat'
tu Dar jo tujh se koi howe KHanda-ru gustaKH
Ghazal
Hai uski zulf se nit panja-e-adu gustaKH
Wali Uzlat