hai us gul-rang ka diwar hona
ki jaise KHwab se bedar hona
batati hai mahak dast-e-hina ki
kisi dar ka pas-e-diwar hona
use rakhta hai sahraon mein hairan
dil-e-shair ka pur-asrar hona
kamal-e-shauq ka hasil yahi hai
hamara shahr se be-zar hona
firaq aaghaz hai un saaton ka
hai aaKHir jin ka wasl-e-yar hona
yahi hona tha aaKHir dasht-e-gham ko
hamare hath se gulzar hona
mohabbat ka sabab hai be-niyazi
kashish us ki hai bas dushwar hona
'munir' achchha nahin lagta ye tera
kisi ke hijr mein bimar hona
Ghazal
Hai us gul-rang ka diwar hona
Muneer Niyazi