hai shauq to be-saKHta aankhon mein samo lo
yun mujh ko nigahon ke taraazu mein na tolo
main bhi hun kisi aankh se Tapka hua moti
mujh ko bhi kisi reshmi Dori mein piro lo
laya hun main KHud dil ko hatheli pe saja kar
is jins ke bazar mein kya dam hain bolo
main kanch ke TukDon ki tarah bikhra paDa hun
bhule se kabhi mujh ko bhi panw mein chubho lo
phir jaaniye kab waqt ki raftar thamegi
Thahre hue lamhe ko nigahon mein piro lo
ab koi bikherega kaDi dhup mein gesu
KHud apne hi dil ke kisi tah-KHane mein so lo
din bhar to 'rashid' aap ko hansna hi paDega
rona hai to ab raat ki tanhai mein ro lo

Ghazal
Hai shauq to be-saKHta aankhon mein samo lo
Rasheed Qaisrani