اردو हिंदी
Hai shakl teri gulab jaisi | Shaahi Shayari
hai shakl teri gulab jaisi

Ghazal

Hai shakl teri gulab jaisi

Muneer Niyazi

;

hai shakl teri gulab jaisi
nazar hai teri sharab jaisi

hawa sahar ki hai in dinon mein
badalte mausam ke KHwab jaisi

sada hai ek duriyon mein ojhal
meri sada ke jawab jaisi

wo din tha dozaKH ki aag jaisa
wo raat gahre azab jaisi

ye shahr lagta hai dasht jaisa
chamak hai us ki sarab jaisi

'munir' teri ghazal ajab hai
kisi safar ki kitab jaisi