اردو हिंदी
Hai rashk-e-wasl se gham-e-dildar hi bhala | Shaahi Shayari
hai rashk-e-wasl se gham-e-dildar hi bhala

Ghazal

Hai rashk-e-wasl se gham-e-dildar hi bhala

Hasrat Azimabadi

;

hai rashk-e-wasl se gham-e-dildar hi bhala
rahat se aisi hum ko wo dil-azar hi bhala

duniya mein yaro yar-e-wafadar hi nahin
aur jo na ho to rahna hai be-yar hi bhala

mashuq ka nazara mayassar ho ya na ho
aashiq hamesha talib-e-didar hi bhala

zari pe meri rahm bhi kar aa KHuda ko man
kafir rahega hum se tu bezar hi bhala

atwar-e-bad hai ghair se KHulta mere huzur
is ke ewaz na kar tu hamein pyar hi bhala

zaKHmon se gham ke tera kaleja to chhil gaya
bulbul hai aise gul se tujhe KHar hi bhala

ek jura dard-e-mai pe ho itna na talKH-o-tund
saqi main aise mast se hoshyar hi bhala

'hasrat' bura kiya main uThaya dil us se kyun
dildar gar na tha to dil-azar hi bhala