hai rang-e-hina jin mein wahi hath dikha de
hasrat hai ki phir dil mein koi aag laga de
yaktai ka dawa to bahut kuchh hai meri jaan
kya ho jo koi aaina mahfil mein dikha de
sabze ki tarah so gae wo sehn-e-chaman mein
be-samjhe chaTak kar koi ghuncha na jaga de
KHat paDh ke na tham dam mera ruk jata hai qasid
jo jo mari taqdir ka likkha hai suna de
hans dete hain munh pher ke wo mere sirhane
jab log ye kahte hain KHuda is ko shifa de
Ghazal
Hai rang-e-hina jin mein wahi hath dikha de
Javed Lakhnvi