hai qaht na tufan na koi KHauf waba ka
is des pe saya hai kisi aur bala ka
har sham sisakti hui fariyaad ki wadi
har subh sulagta hua sahra hai sada ka
apna to nahin tha main kabhi aur ghamon ne
mara mujhe aisa raha tera na KHuda ka
phaile hue har-samt jahan hirs-o-hawas hun
phulega phalega wahan kya peD wafa ka
hathon ki lakiren tujhe kya samt dikhaen
sun waqt ki aawaz ko ruKH dekh hawa ka
luqman-o-masiha ne bhi koshish to bahut ki
hota hai asar us pe dua ka na dawa ka
is bar jo naghma teri yaadon se uTha hai
mushkil hai ki paband ho alfaz-o-sada ka
itni tere insaf ki dekhi hain misalen
lagta hi nahin mulk tera mulk KHuda ka
samjha tha wo andar kahin paiwast hai mujh mein
dekha to mere hath mein aanchal tha saba ka

Ghazal
Hai qaht na tufan na koi KHauf waba ka
Saeed Ahmad Akhtar