hai qanun-e-fitrat koi kya karega
jo hota hai duniya mein ho kar rahega
na neze pe jab tak tera sar chaDhega
tere sar ko sar koi kaise kahega
main anjam-e-haq-goi se ba KHabar hun
pata hai ki ek din mera sar kaTega
wahi roTiyan jin se chhini gai hain
agar uTh khaDe hon to kaisa rahega
tera husn hai shola-e-asmani
koi us se aaKHir kahan tak bachega
yaqinan kahin aaj bijli giregi
yaqinan koi aashiyana jalega
ye dard-e-mohabbat hai mere masiha
dawa se na koi dua se ghaTega
mohabbat ki qismat mein aawargi hai
kahan tak koi us ke pichhe paDega
'wali' jo hai na-ashna-e-mohabbat
mere dil ki dhaDkan wo kyun kar sunega
Ghazal
Hai qanun-e-fitrat koi kya karega
Waliullah wali