hai nur-e-KHuda bhi yahan irfan-e-KHuda bhi
ye zat ki hai wadi-e-sina bhi hira bhi
us ban mein kiya karti hai tap meri ana bhi
is shahar mein hai kar-gah-e-arz-o-sama bhi
karta hun tawaf apna to milti hai nai rah
qibla bhi hai ye zat mera qibla-numa bhi
KHud-agahi o KHud-nigahi ka hai ye inam
aur jurm-e-shanasai-e-alam ki saza bhi
hota hai shab-o-roz tamasha sar-e-ehsas
jo dekhti rahti hai meri aankh dikha bhi
karti hai kamar-basta safar par bhi yahi zat
jab dur nikal jata hun deti hai sada bhi
zarre mein hai kaunain to kaunain mein zarra
kuchh hai tujhe aawara-e-aflak pata bhi
Ghazal
Hai nur-e-KHuda bhi yahan irfan-e-KHuda bhi
Ameeq Hanafi