hai nind abhi aankh mein pal bhar mein nahin hai
karwaT koi aaram ki bistar mein nahin hai
sahil pe jala de jo palaTne ka wasila
ab aisa jiyala mere lashkar mein nahin hai
phailaw hua hai mere idrak se paida
wusat mere andar hai samundar mein nahin hai
sikha na duaon mein qanaat ka saliqa
wo mang raha hun jo muqaddar mein nahin hai
rakh us pe nazar jo kahin zahir mein hai pinhan
wo bhi to kabhi dekh jo manzar mein nahin hai
yun dhup ne ab zawiya badla hai ki 'asim'
saya bhi mera mere barabar mein nahin hai
Ghazal
Hai nind abhi aankh mein pal bhar mein nahin hai
Asim Wasti