hai nigahon mein koh-e-tur miyan
main nahin hun KHuda se dur miyan
wo bhi taqrir kar rahe hain jinhen
bolne ka nahin shuur miyan
le na Dube teri ibaadat ko
zohd-o-taqwa ka ye ghurur miyan
mere munh mein nahin zaban aisi
bolti jo hai ji-huzur miyan
rah ke dilli mein bhi ye lagta hai
ab bhi dilli bahut hai dur miyan
ek maqtal thi mahfil-e-yaran
hum hi zulmat ko samjhe nur miyan
KHub hain sajda-reziyan teri
nafs par bhi to ho ubur miyan
Ghazal
Hai nigahon mein koh-e-tur miyan
Dr. Azam