hai nahin koi naKHuda dil ka
dil hi hai ek aasra dil ka
chaar-su be-KHudi mein phirta hai
kuchh Thikana nahin raha dil ka
rasm-e-duniya ko kyun ye manega
hai alag jag se qaeda dil ka
sheKH-o-panDit ko koi samjhae
rab se rahta hai rabta dil ka
rah-e-insaniyat hi awwal hai
hai yaqinan ye falsafa dil ka
do-jahan bhi yahan sama jaen
kitna phaila hai daera dil ka
lab talak aa ke baat hi badli
kya kare lafz tarjuma dil ka
aql kab aaegi tumhein 'mona'
mante kyun ho tum kaha dil ka
Ghazal
Hai nahin koi naKHuda dil ka
Elizabeth Kurian Mona