hai mustaqil yahi ehsas kuchh kami si hai
talash mein hai nazar dil mein bekali si hai
kisi bhi kaam mein lagta nahin hai dil mera
baDe dinon se tabiat bujhi bujhi si hai
baDi ajib udasi hai muskuraata hun
jo aaj kal meri haalat hai shairi si hai
guzar rahe hain shab o roz be-sabab mere
ye zindagi to nahin sirf zindagi si hai
thaki to ek mohabbat ne mund li aankhen
har ek nind se ab meri dushmani si hai
tere baghair kahan hai sukun kya aaram
kahin rahun meri taklif beghari si hai
nahin wo sham-e-mohabbat rahi to phir 'asim'
ye kis dua se mere ghar mein raushni si hai
Ghazal
Hai mustaqil yahi ehsas kuchh kami si hai
Asim Wasti