اردو हिंदी
Hai mujhko rabt bas-ki ghazalan-e-ram ke sath | Shaahi Shayari
hai mujhko rabt bas-ki ghazalan-e-ram ke sath

Ghazal

Hai mujhko rabt bas-ki ghazalan-e-ram ke sath

Insha Allah Khan u0027Inshau0027

;

hai mujh ko rabt bas-ki ghazalan-e-ram ke sath
chaukun hun dekh sae ko apne qadam ke sath

hai zat-e-haq jawahir o aghraaz se bari
tashbih kya hai us ko wajud o adam ke sath

kya ain o mulk o waza o izafat ka daKHl wan
hai infial o fel mata kaif-o-kam ke sath

dekha main sath Dhol ke suli par un ka sar
faKHriyya wo jo phirte the tabl-o-alam ke sath

dekhi ye chah un ki andhere kuen ke bich
phenka lapeT kushte ko apne gulam ke sath

ku-e-butan se tauf-e-haram ko chale to hum
lekin kamal-e-hasrat o hirman o gham ke sath

thin apni aankhen halqa-e-zanjir ki namat
paiwasta hil rahi dar-e-baitus-sanam ke sath

kahte ho wun se hoke idhar aao wun chalen
kya KHub kyun na dauD paDun aise dam ke sath

tum aur baat mano aji sab nazar mein hai
danton tale zaban dabani qasam ke sath

ab chheD chhaD ki ghazal 'insha' ek aur likh
hain lakh shoKHiyan teri nok-e-qalam ke sath