hai muft dil ki qimat agar ek nazar mile
ye wo mataa hai ki na len muft agar mile
insaf kar ki laun main phir kaun sa wo din
mahshar ke rose bhi na jo dad-e-jigar mile
parwana-war hai had-e-parwaz shoala tak
jalne hi ke liye mujhe ye baal-o-par mile
aane se KHat ke jate rahe wo bigaD sab
ban aai ab to hazrat-e-dil lo KHizr mile
kya shukr ka maqam hai marne ki jahe dil
kuchh muztarib se aaj wo bairun-e-dar mile
aalam KHarab hai na nikalne se aap ke
niklo to dekho KHak mein kya ghar ke ghar mile
hai sham-e-hijr aaj o zalim o falak
gardish wo kar ki sham se aa kar sahar mile
go pas ho pa chain to hai is bigaD mein
kya lutf tha laDe wo idhar aur udhar mile
dil ne mila din KHak mein sab waza-dariyan
jun jun ruke wo milne se hum beshtar mile
TuTe ye baKHiya zaKHm ka hamdam kahin se la
KHanjar mile kaTar mile neshtar mile
tha asl main murad Dubona jahan ka
qabil samajh ke goya hamein chashm-e-tar mile
us ki gali mein le gae 'azurda' ko ise
di thi dua ye kis ne ki jannat mein ghar mile
Ghazal
Hai muft dil ki qimat agar ek nazar mile
Mufti Sadruddin Aazurda