hai mol-bhao mein bazar mein hai sath mere
wo ek kar-e-fana-zar mein hai sath mere
salib-e-jaan se visal aasman ke sahil tak
har ek lazzat-e-azar mein hai sath mere
kabhi to hero banata hai aur kabhi joker
har ek rang ke kirdar mein hai sath mere
yahi bahut hai mere jism o jaan ka hissa hai
kahin to mauja-e-KHun-bar mein hai sath mere
ajab guman hai jaise ki sarfaraaz hun main
ajib fitna-e-dastar mein hai sath mere
kabhi mujhe bhi zara mojaza-numa karta
jo apni zat ke asrar mein hai sath mere
wo dastaras mein hai lekin nazar se ghaeb hai
harif-e-jaan koi paikar mein hai sath mere
main ek nigah ko mahsus kar raha hun mudam
koi to reg-e-fana-zar mein hai sath mere
wo sare KHeme lagata hai phir ukhaDta hai
sarab-e-manzil-o-asar mein hai sath mere
jo chhoD deta hai dasht-e-zawal mein tanha
wo rel-pel mein bazar mein hai sath mere
Ghazal
Hai mol-bhao mein bazar mein hai sath mere
Khalid Karrar